aankhen aansu nahin roti hain jigar rote hain
āñkheñ aañsū nahīñ rotī haiñ jigar rote haiñ
tere bīmār ke andāz-o-hunar rote haiñ
shaad honā to vo manzil hai jise paane ko
qāfile shauq ke daurān-e-safar rote haiñ
ik to zālim haiñ ke un ko bhī rulāte haiñ udhar
hashr par ġhaur kiye ham bhī idhar rote haiñ
ham ko chheḌe na koī zabt ke aalam meñ haiñ ham
varna sailāb guzartā hai jidhar rote haiñ
ek qatra na girā aañkh se un ke 'amrit'
vo jo kahte the udhar tum ham idhar rote haiñ
aankhen aansu nahin roti hain jigar rote hain
tere bimar ke andaz-o-hunar rote hain
shad hona to wo manzil hai jise pane ko
qafile shauq ke dauran-e-safar rote hain
ek to zalim hain ke un ko bhi rulate hain udhar
hashr par ghaur kiye hum bhi idhar rote hain
hum ko chheDe na koi zabt ke aalam mein hain hum
warna sailab guzarta hai jidhar rote hain
ek qatra na gira aankh se un ke 'amrit'
wo jo kahte the udhar tum hum idhar rote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.