aankhen asir-e-KHwab thin KHwab ek hi se the
āñkheñ asīr-e-ḳhvāb thiiñ ḳhvāb ek hī se the
har ek jaañ pe ab ke azaab ek hī se the
rāh-e-vafā-e-shauq meñ vāmāñdgī ke ba.ad
jo bhī mile the ḳhār-e-gulāb ek hī se the
bainassutūr un ke ma.ānī judā na the
jitne bhī muḳhtalif the nisāb ek hī se the
vo to kahīñ nahīñ the jinheñ DhūñDhtā thā maiñ
jo rah ga.e the zer-e-naqāb ek hī se the
kis kis se aur pūchhte us shahr kā patā
vo jo hameñ mile the javāb ek hī se the
barse to vo bhī pyaas kī shiddat baḌhā ga.e
mere liye to saare sahāb ek hī se the
aankhen asir-e-KHwab thin KHwab ek hi se the
har ek jaan pe ab ke azab ek hi se the
rah-e-wafa-e-shauq mein wamandgi ke baad
jo bhi mile the KHar-e-gulab ek hi se the
bainassutur un ke maani juda na the
jitne bhi muKHtalif the nisab ek hi se the
wo to kahin nahin the jinhen DhunDhta tha main
jo rah gae the zer-e-naqab ek hi se the
kis kis se aur puchhte us shahr ka pata
wo jo hamein mile the jawab ek hi se the
barse to wo bhi pyas ki shiddat baDha gae
mere liye to sare sahab ek hi se the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.