aankhen bichhae mere liye dar koi na tha
āñkheñ bichhā.e mere liye dar koī na thā
bhaTkā huuñ yuuñ ki jaise mirā ghar koī na thā
har shaḳhs chāhtā thā ujāloñ kā pairahan
ḳhvāboñ kī is fasīl se bāhar koī na thā
ḳhud-e'timādiyāñ thiiñ mirī justujū ke saath
māthe pe mere sabt muqaddar koī na thā
apnī hī soch thī jo unheñ kar ga.ī aziim
varna to āsmānī payambar koī na thā
aankhen bichhae mere liye dar koi na tha
bhaTka hun yun ki jaise mera ghar koi na tha
har shaKHs chahta tha ujalon ka pairahan
KHwabon ki is fasil se bahar koi na tha
KHud-e'timadiyan thin meri justuju ke sath
mathe pe mere sabt muqaddar koi na tha
apni hi soch thi jo unhen kar gai azim
warna to aasmani payambar koi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.