aankhen daldal ho jaengi chehre thal ho jaenge
āñkheñ daldal ho jā.eñgī chehre thal ho jā.eñge
jaane vāloñ ko ro-ro kar ham pāgal ho jā.eñge
karne vaale hone kī koshish meñ hal ho jā.eñge
kaam adhūre rah jā.eñge log mukammal ho jā.eñge
tū chāhe to rastoñ kī taqdīr badal bhī saktī hai
tere paañv chhū kar patthar bhī malmal ho jā.eñge
āḳhir sūraj khīñch hī legā saarā paanī miTTī se
ik din dariyā jhiil samundar sab bādal ho jā.eñge
ham ne dekhā to uḌ jā.egī mahkār gulāboñ se
us ke hāthoñ sūkhe paude bhī sandal ho jā.eñge
apne apne zarf mutābiq hai.at badlī jā.egī
dariyā dasht chaman vīrāne ghar jangal ho jā.eñge
ḳhālī ghar kā darvāza to qabr kī sūrat hotā hai
dastak dete dete tere baazū shal ho jā.eñge
tum bologe to aa.egā chain samā.at ko varna
jaise sochte rahte ho tum ham pāgal ho jā.eñge
phir ye log kareñge raushan diip duāoñ ke 'shīrān'
laḌte-laḌte shahr hamāre jab maqtal ho jā.eñge
aankhen daldal ho jaengi chehre thal ho jaenge
jaane walon ko ro-ro kar hum pagal ho jaenge
karne wale hone ki koshish mein hal ho jaenge
kaam adhure rah jaenge log mukammal ho jaenge
tu chahe to raston ki taqdir badal bhi sakti hai
tere panw chhu kar patthar bhi malmal ho jaenge
aaKHir suraj khinch hi lega sara pani miTTi se
ek din dariya jhil samundar sab baadal ho jaenge
hum ne dekha to uD jaegi mahkar gulabon se
us ke hathon sukhe paude bhi sandal ho jaenge
apne apne zarf mutabiq haiat badli jaegi
dariya dasht chaman virane ghar jangal ho jaenge
KHali ghar ka darwaza to qabr ki surat hota hai
dastak dete dete tere bazu shal ho jaenge
tum bologe to aaega chain samaat ko warna
jaise sochte rahte ho tum hum pagal ho jaenge
phir ye log karenge raushan dip duaon ke 'shiran'
laDte-laDte shahr hamare jab maqtal ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.