aankhen jo khulin safdar zanjir nazar aai
aankhen jo khulin safdar zanjir nazar aai
Sayyad Safdar Hussain
MORE BYSayyad Safdar Hussain
āñkheñ jo khulīñ 'safdar' zanjīr nazar aa.ī
ye ḳhvāb-e-javānī kī ta.abīr nazar aa.ī
rag rag meñ mohabbat kī tanvīr nazar aa.ī
ik paikar-e-ḳhākī kī tauqīr nazar aa.ī
āfāq kā har jalva apnā hī karishma hai
ā.īnoñ meñ apnī hī tasvīr nazar aa.ī
khulne jo lage uqde us gesu-e-pur-ḳham ke
ai lafz-e-vafā terī tafsīr nazar aa.ī
ik ijz sarāpā hai ik naaz mujassam hai
tasvīr ke pahlū meñ tasvīr nazar aa.ī
hamvār zamīnoñ par tadbīr ke jalve the
Thokar jo kahīñ khaa.ī taqdīr nazar aa.ī
jab ghir ke ghaTā aa.ī bhaḌkā tirā dīvāna
lahrā.ī huī bijlī zanjīr nazar aa.ī
'safdar' ne kiyā jab bhī ġhaur apnī tamanna par
taḳhrīb ham-āġhosh-e-ta.amīr nazar aa.ī
aankhen jo khulin 'safdar' zanjir nazar aai
ye KHwab-e-jawani ki tabir nazar aai
rag rag mein mohabbat ki tanwir nazar aai
ek paikar-e-KHaki ki tauqir nazar aai
aafaq ka har jalwa apna hi karishma hai
aainon mein apni hi taswir nazar aai
khulne jo lage uqde us gesu-e-pur-KHam ke
ai lafz-e-wafa teri tafsir nazar aai
ek ijz sarapa hai ek naz mujassam hai
taswir ke pahlu mein taswir nazar aai
hamwar zaminon par tadbir ke jalwe the
Thokar jo kahin khai taqdir nazar aai
jab ghir ke ghaTa aai bhaDka tera diwana
lahrai hui bijli zanjir nazar aai
'safdar' ne kiya jab bhi ghaur apni tamanna par
taKHrib ham-aghosh-e-tamir nazar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.