aankhen kabhi zulfen kabhi lab dekh rahe hain
āñkheñ kabhī zulfeñ kabhī lab dekh rahe haiñ
ā.īne meñ guzrī huī shab dekh rahe haiñ
jab tak the mire sāmne āñkhoñ meñ hayā thī
jaate hue muḌ-muḌ ke vo ab dekh rahe haiñ
allāh bachā.e nigah-e-bad se kisī kī
mahfil meñ unheñ aaj to sab dekh rahe haiñ
ik ham hī nahīñ bazm meñ betāb-o-muzabzab
ham haal tumhārā bhī ajab dekh rahe haiñ
nazreñ to haiñ donoñ kī magar farq hai itnā
vo sub.h to ham zulmat-e-shab dekh rahe haiñ
mai-ḳhāne meñ mai-ḳhvār talabgār haiñ mai ke
aur ham haiñ ki un sab kī talab dekh rahe haiñ
kal nām-o-nasab 'fauq' miTāyā thā jinhoñ ne
kyoñ aaj vahī nām-o-nasab dekh rahe haiñ
aankhen kabhi zulfen kabhi lab dekh rahe hain
aaine mein guzri hui shab dekh rahe hain
jab tak the mere samne aankhon mein haya thi
jate hue muD-muD ke wo ab dekh rahe hain
allah bachae nigah-e-bad se kisi ki
mahfil mein unhen aaj to sab dekh rahe hain
ek hum hi nahin bazm mein betab-o-muzabzab
hum haal tumhaara bhi ajab dekh rahe hain
nazren to hain donon ki magar farq hai itna
wo subh to hum zulmat-e-shab dekh rahe hain
mai-KHane mein mai-KHwar talabgar hain mai ke
aur hum hain ki un sab ki talab dekh rahe hain
kal nam-o-nasab 'fauq' miTaya tha jinhon ne
kyon aaj wahi nam-o-nasab dekh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.