aankhen khuli khuli hain nazar le gaya koi
āñkheñ khulī khulī haiñ nazar le gayā koī
dīvār-o-dar to haiñ vahī ghar le gayā koī
saarī zamīn ho ga.ī be-āb-o-be-gyāh
vo chahchahe vo lutf-e-sahar le gayā koī
manzar had-e-nigāh talak laal laal hai
har samt se green color le gayā koī
ab ke samundaroñ kā safar be-maza rahā
tūfān-e-ḳhauf aur bhañvar le gayā koī
ug aa.iiñ rāt-bhar meñ falak-bos buildingeñ
'saifī' haveliyoñ kā khañDar le gayā koī
aankhen khuli khuli hain nazar le gaya koi
diwar-o-dar to hain wahi ghar le gaya koi
sari zamin ho gai be-ab-o-be-gyah
wo chahchahe wo lutf-e-sahar le gaya koi
manzar had-e-nigah talak lal lal hai
har samt se green color le gaya koi
ab ke samundaron ka safar be-maza raha
tufan-e-KHauf aur bhanwar le gaya koi
ug aain raat-bhar mein falak-bos buildingen
'saifi' haweliyon ka khanDar le gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.