aankhen khuli thin sab ki koi dekhta na tha
aankhen khuli thin sab ki koi dekhta na tha
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
āñkheñ khulī thiiñ sab kī koī dekhtā na thā
apne sivā kisī kā koī āshnā na thā
yuuñ kho gayā thā husn hujūm-e-nigāh meñ
ahl-e-nazar ko apnī nazar kā patā na thā
dhuñdlā ga.e the naqsh-e-mohabbat kuchh is tarah
pahchāntī thī aañkh to dil māntā na thā
tum paas the tumheñ to huī hogī kuchh ḳhabar
itnā to apnā shīsha-e-dil be-sadā na thā
kuchh log the jinheñ ye sa'ādat huī nasīb
varna yahāñ kise sar-e-mehr-o-vafā na thā
har samt ho rahā thā añdheroñ kā izhdihām
shab kaT chukī thī aur saverā huā na thā
kyā kyā farāġhateñ thiiñ 'tabassum' hameñ ki jab
dil par kisī kī yaad kā saaya paḌā na thā
aankhen khuli thin sab ki koi dekhta na tha
apne siwa kisi ka koi aashna na tha
yun kho gaya tha husn hujum-e-nigah mein
ahl-e-nazar ko apni nazar ka pata na tha
dhundla gae the naqsh-e-mohabbat kuchh is tarah
pahchanti thi aankh to dil manta na tha
tum pas the tumhein to hui hogi kuchh KHabar
itna to apna shisha-e-dil be-sada na tha
kuchh log the jinhen ye sa'adat hui nasib
warna yahan kise sar-e-mehr-o-wafa na tha
har samt ho raha tha andheron ka izhdiham
shab kaT chuki thi aur sawera hua na tha
kya kya faraghaten thin 'tabassum' hamein ki jab
dil par kisi ki yaad ka saya paDa na tha
- Book : (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 178)
- Author : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
- Publication : Alhamd Publications, Lahore (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.