aankhen khulin to KHwab ki tabir chhin gai
āñkheñ khulīñ to ḳhvāb kī ta.abīr chhin ga.ī
raqsāñ jo aa.ine meñ thī tasvīr chhin ga.ī
qadġhan hai zehn-o-fikr pe kyā shahr-yār kī
dānishvaroñ kī hurmat-e-tahrīr chhin ga.ī
har chand naaz apnī balāġhat pe thā unheñ
vaqt-e-ḳhatā pa jur.at-e-taqrīr chhin ga.ī
ab dāstān-e-ġham meñ tasalsul nahīñ rahā
lafzoñ ke tār-o-pūd kī zanjīr chhin ga.ī
bikne lage haiñ ahl-e-hunar jab se dahr meñ
dast-e-hunar se azmat-e-ta.amīr chhin ga.ī
yarqāñ-zada hai gulsitāñ ab kī bahār meñ
phūloñ kī āb-o-tāb kī tanvīr chhin ga.ī
abr-e-karam kī kaise tavaqqo kareñ 'jamīl'
harf-e-duā kī azmat-e-tāsīr chhin ga.ī
aankhen khulin to KHwab ki tabir chhin gai
raqsan jo aaine mein thi taswir chhin gai
qadghan hai zehn-o-fikr pe kya shahr-yar ki
danishwaron ki hurmat-e-tahrir chhin gai
har chand naz apni balaghat pe tha unhen
waqt-e-KHata pa jurat-e-taqrir chhin gai
ab dastan-e-gham mein tasalsul nahin raha
lafzon ke tar-o-pud ki zanjir chhin gai
bikne lage hain ahl-e-hunar jab se dahr mein
dast-e-hunar se azmat-e-tamir chhin gai
yarqan-zada hai gulsitan ab ki bahaar mein
phulon ki aab-o-tab ki tanwir chhin gai
abr-e-karam ki kaise tawaqqo karen 'jamil'
harf-e-dua ki azmat-e-tasir chhin gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.