aankhen munde sab kuchh bhule kab se yunhi baiThe hain
āñkheñ mūñde sab kuchh bhūle kab se yūñhī baiThe haiñ
palkoñ pe kuchh ḳhvāb sajā.e jaage jaage so.e haiñ
kis se kyā rishta thā merā ab to ye bhī yaad nahīñ
reza-reza ā.īna hai bikhre bikhre chehre haiñ
apne ghar kī vīrānī kā ham kis se kyā haal kaheñ
suunā suunā darvāza hai ḳhālī ḳhālī kamre haiñ
tanhā.ī ke añdhiyāre meñ yādoñ kī mauhūm kiran
jaise raat kī peshānī par jhilmil jhilmil taare haiñ
tum se kyā batlā.eñ dil kā aalam kyā ho jaatā hai
biite mausam kī yādoñ ke āñchal jab lahrāte haiñ
ab ke baras bhī sāvan aa kar yūñhī biit gayā āḳhir
jalte haiñ ham andar andar aas ke panchhī pyāse haiñ
vaqt kī bhaTTī meñ tap tap kar ham ne ye jaanā 'betāb'
sachchā hai ik dard kā rishta baaqī rishte jhūTe haiñ
aankhen munde sab kuchh bhule kab se yunhi baiThe hain
palkon pe kuchh KHwab sajae jage jage soe hain
kis se kya rishta tha mera ab to ye bhi yaad nahin
reza-reza aaina hai bikhre bikhre chehre hain
apne ghar ki virani ka hum kis se kya haal kahen
suna suna darwaza hai KHali KHali kamre hain
tanhai ke andhiyare mein yaadon ki mauhum kiran
jaise raat ki peshani par jhilmil jhilmil tare hain
tum se kya batlaen dil ka aalam kya ho jata hai
bite mausam ki yaadon ke aanchal jab lahraate hain
ab ke baras bhi sawan aa kar yunhi bit gaya aaKHir
jalte hain hum andar andar aas ke panchhi pyase hain
waqt ki bhaTTi mein tap tap kar hum ne ye jaana 'betab'
sachcha hai ek dard ka rishta baqi rishte jhuTe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.