aankhen nam hain surat pe gham tari hai
āñkheñ nam haiñ sūrat pe ġham taarī hai
kis ko ruḳhsat karne kī tayyārī hai
kaun tumhāre dukh meñ hissa-dār bane
sab kā apnā dukh hai aur vo jaarī hai
mātam karne vaale logoñ meñ dekho
kitnā ġham hai aur kitnī ġham-ḳhvārī hai
sab ke is meñ apne apne ḳhāne haiñ
zehn purānī yādoñ kī almārī hai
ro dene meñ kitnī mehnat lagtī hai
hañs denā to chehre kī fankārī hai
āsānī se apnī bāteñ kah denā
ye bhī achchhī ḳhāsī ik dushvārī hai
aankhen nam hain surat pe gham tari hai
kis ko ruKHsat karne ki tayyari hai
kaun tumhaare dukh mein hissa-dar bane
sab ka apna dukh hai aur wo jari hai
matam karne wale logon mein dekho
kitna gham hai aur kitni gham-KHwari hai
sab ke is mein apne apne KHane hain
zehn purani yaadon ki almari hai
ro dene mein kitni mehnat lagti hai
hans dena to chehre ki fankari hai
aasani se apni baaten kah dena
ye bhi achchhi KHasi ek dushwari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.