aankhon aankhon lipTi hui hairani hai
āñkhoñ āñkhoñ lipTī huī hairānī hai
ā.īna ā.īna rū-gardānī hai
ḳhāna-dārī par hai ḳhalvat kā mausam
vaqt guzārī qissa aur kahānī hai
mushkil to ye hai ab mushkil koī nahīñ
jo bhī sūrat hai jānī-pahchānī hai
saat bakheḌe saat jhamele sab ke saath
chauda ghar meñ bikhrī ek kahānī hai
qissoñ se ham-zād nikal aayā bāhar
haal ke parde par tasvīr purānī hai
ḳhud marzī hai vaar hamāre dil paare
zid par hai jo shai vo ḳhud farmānī hai
sāhil sāhil baazū burīda baiThe haiñ
ġharqābī par Taḳhne Taḳhne paanī hai
ahd-e-sitāra jañg hai manzar-yābī par
dil dil 'rahmānī' vahshat-sāmānī hai
aankhon aankhon lipTi hui hairani hai
aaina aaina ru-gardani hai
KHana-dari par hai KHalwat ka mausam
waqt guzari qissa aur kahani hai
mushkil to ye hai ab mushkil koi nahin
jo bhi surat hai jaani-pahchani hai
sat bakheDe sat jhamele sab ke sath
chauda ghar mein bikhri ek kahani hai
qisson se ham-zad nikal aaya bahar
haal ke parde par taswir purani hai
KHud marzi hai war hamare dil pare
zid par hai jo shai wo KHud farmani hai
sahil sahil bazu burida baiThe hain
gharqabi par TaKHne TaKHne pani hai
ahd-e-sitara jang hai manzar-yabi par
dil dil 'rahmani' wahshat-samani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.