aankhon aankhon mein ishaaraat alif se ye tak
aankhon aankhon mein ishaaraat alif se ye tak
Javed Akram Farooqi
MORE BYJaved Akram Farooqi
āñkhoñ āñkhoñ meñ ishārāt alif se ye tak
sahme sahme se haiñ jazbāt alif se ye tak
shab ke siine meñ laraztī haiñ karāheñ pal pal
din ke hoñToñ pe haiñ naġhmāt alif se ye tak
jism se chipke hue reshmī kapḌe us ke
yaad aatī hai vo barsāt alif se ye tak
āhaTeñ dhaḌkaneñ bechainiyāñ āñkheñ nīñdeñ
kaise guzrī hai mirī raat alif se ye tak
aaj sūraj ke darīchoñ se nikal aa.egā chāñd
hai 'ajab husn-e-mulāqāt alif se ye tak
naam tā'līm pata 'umr mashāġhil pesha
kaise kaise the savālāt alif se ye tak
ajnabī lafz thakā lahja shikasta mafhūm
kaun samjhegā mirī baat alif se ye tak
aankhon aankhon mein ishaaraat alif se ye tak
sahme sahme se hain jazbaat alif se ye tak
shab ke sine mein larazti hain karahen pal pal
din ke honTon pe hain naghmat alif se ye tak
jism se chipke hue reshmi kapDe us ke
yaad aati hai wo barsat alif se ye tak
aahaTen dhaDkanen bechainiyan aankhen ninden
kaise guzri hai meri raat alif se ye tak
aaj suraj ke darichon se nikal aaega chand
hai 'ajab husn-e-mulaqat alif se ye tak
nam ta'lim pata 'umr mashaghil pesha
kaise kaise the sawalat alif se ye tak
ajnabi lafz thaka lahja shikasta mafhum
kaun samjhega meri baat alif se ye tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.