aankhon aankhon mein ishaare ho gae
āñkhoñ āñkhoñ meñ ishāre ho ga.e
ham tumhāre tum hamāre ho ga.e
ham samajhte the ki ho jā.eñge paar
vaa.e qismat tez dhāre ho ga.e
rahte auroñ ke sahāre kab talak
ḳhud hī ham apne sahāre ho ga.e
jab bhī aaya koī vaqt-e-imtihān
dost jitne the kināre ho ga.e
chaḌh ke nazroñ meñ hue the sar-buland
gir ke nazroñ se bichāre ho ga.e
ek do kā zikr kyā 'ālam' yahāñ
kitnoñ hī ke vāre-nyāre ho ga.e
aankhon aankhon mein ishaare ho gae
hum tumhaare tum hamare ho gae
hum samajhte the ki ho jaenge par
wae qismat tez dhaare ho gae
rahte auron ke sahaare kab talak
KHud hi hum apne sahaare ho gae
jab bhi aaya koi waqt-e-imtihan
dost jitne the kinare ho gae
chaDh ke nazron mein hue the sar-buland
gir ke nazron se bichaare ho gae
ek do ka zikr kya 'alam' yahan
kitnon hi ke ware-nyare ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.