aankhon ka hai qusur agar wo ayan nahin
āñkhoñ kā hai qusūr agar vo ayaañ nahīñ
varna to kis makāñ meñ makīñ lā-makāñ nahīñ
har shai kā kuchh na kuchh yahāñ maqsad zarūr hai
is kā.enāt meñ kahīñ kuchh rā.egāñ nahīñ
had hai agar to sang-tarāshoñ ke fan kī hai
patthar meñ varna sūrateñ kyā kyā nihāñ nahīñ
hadd-e-nazar hai jis pe hai chhat kā gumāñ hameñ
varna zamīñ ke sar pe koī āsmāñ nahīñ
mujh meñ na rang DhūñDiye 'ġhālib' yā 'mīr' kā
miltā kisī se bhī mirā tarz-e-bayāñ nahīñ
kyā lutf shā.erī kā uThā.eñge bad-nasīb
sīkhī jinhoñ ne ai 'sadā' urdu zabāñ nahīñ
aankhon ka hai qusur agar wo ayan nahin
warna to kis makan mein makin la-makan nahin
har shai ka kuchh na kuchh yahan maqsad zarur hai
is kaenat mein kahin kuchh raegan nahin
had hai agar to sang-tarashon ke fan ki hai
patthar mein warna suraten kya kya nihan nahin
hadd-e-nazar hai jis pe hai chhat ka guman hamein
warna zamin ke sar pe koi aasman nahin
mujh mein na rang DhunDiye 'ghaalib' ya 'mir' ka
milta kisi se bhi mera tarz-e-bayan nahin
kya lutf shaeri ka uThaenge bad-nasib
sikhi jinhon ne ai 'sada' urdu zaban nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.