aankhon ka shor KHun ki ganga utar gaya
āñkhoñ kā shor ḳhuun kī gangā utar gayā
is ġham ne kaaT khāyā ki dil be-hunar gayā
gul-mohr pe ḳhizāñ ne lagā.ī hai ġham kī muhr
tītar khañDar pe shāḳh kī siskārī bhar gayā
chhāñv meñ chāñd ke thā mire saath ek nuur
sūraj girā jo sar pe sitārā mukar gayā
dahkā rahī thī lafz ko lahje kī tez barf
ye munjamid charāġh kyā siine ko bhar gayā
phulvāriyoñ pe nuur kī titlī ne ghar kiyā
jugnū kañval kī shāḳh pe mahtāb dhar gayā
aankhon ka shor KHun ki ganga utar gaya
is gham ne kaT khaya ki dil be-hunar gaya
gul-mohr pe KHizan ne lagai hai gham ki muhr
titar khanDar pe shaKH ki siskari bhar gaya
chhanw mein chand ke tha mere sath ek nur
suraj gira jo sar pe sitara mukar gaya
dahka rahi thi lafz ko lahje ki tez barf
ye munjamid charagh kya sine ko bhar gaya
phulwariyon pe nur ki titli ne ghar kiya
jugnu kanwal ki shaKH pe mahtab dhar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.