aankhon ke aabgine bahe phuT phuT kar
āñkhoñ ke ābgīne bahe phuuT phuuT kar
yuuñ dil ne tujh se pyaar kiyā TuuT TuuT kar
jañgal sabhī kaTe saje manDap sabhī haTe
rājesh kho ga.e kahīñ rādhā se ruuTh kar
mat kah use naTor nigoḌā niDar sakhī
pī hai mirā maiñ jā.ūñ kahāñ us se chhūT kar
bandhan jagat ke paañv kī zanjīr hī sahī
aa taj ke ye rivāyateñ is sach ko jhuuT kar
jugnū ne is se pūchhā chalī hai kidhar batā
zulfoñ meñ raat chāñdnī chehre pe luuT kar
qarze chukā.e mannateñ uThvā.īñ laa.e log
jab bastiyoñ meñ khetoñ se ye dhaan kuuT kar
gyānī vo giit riit kā shabdoñ kā shubh kavī
rahne de yaar chhoḌ na yuuñ ḳhud ko hoot kar
aankhon ke aabgine bahe phuT phuT kar
yun dil ne tujh se pyar kiya TuT TuT kar
jangal sabhi kaTe saje manDap sabhi haTe
rajesh kho gae kahin radha se ruTh kar
mat kah use naTor nigoDa niDar sakhi
pi hai mera main jaun kahan us se chhuT kar
bandhan jagat ke panw ki zanjir hi sahi
aa taj ke ye riwayaten is sach ko jhuT kar
jugnu ne is se puchha chali hai kidhar bata
zulfon mein raat chandni chehre pe luT kar
qarze chukae mannaten uThwain lae log
jab bastiyon mein kheton se ye dhan kuT kar
gyani wo git rit ka shabdon ka shubh kawi
rahne de yar chhoD na yun KHud ko hoot kar
- Book : Ban Baas (Pg. 213)
- Author : Naasir Shahzaad
- Publication : Alhamd Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.