Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon ke kanwal lab ke chaman-zar bahut the

Aliuddeen Naved

aankhon ke kanwal lab ke chaman-zar bahut the

Aliuddeen Naved

MORE BYAliuddeen Naved

    āñkhoñ ke kañval lab ke chaman-zār bahut the

    dīvāne magar sair se bezār bahut the

    ham log kaḌī dhuup ke shaidā.ī the varna

    yuuñ sar ko chhupāne dar-o-dīvār bahut the

    har shaḳhs ke chehre pe ka.ī chehre the chaspāñ

    tujh jaise tire shahr meñ ayyār bahut the

    TuuTā huā pul ret dīvār havā tez

    lagtā hai ki bastī meñ gunahgār bahut the

    alfāz adā kartī rahīñ boltī āñkheñ

    chup rah ke bhī vo mā.il-e-guftār bahut the

    āñkhoñ ke darīchoñ meñ hayā jaag rahī thī

    so.e the kuchh aise ki vo bedār bahut the

    vo shaḳhs to har gaam pe detā rahā dhoke

    tum phir bhī 'naved' us ke parastār bahut the

    aankhon ke kanwal lab ke chaman-zar bahut the

    diwane magar sair se bezar bahut the

    hum log kaDi dhup ke shaidai the warna

    yun sar ko chhupane dar-o-diwar bahut the

    har shaKHs ke chehre pe kai chehre the chaspan

    tujh jaise tere shahr mein ayyar bahut the

    TuTa hua pul ret ki diwar hawa tez

    lagta hai ki basti mein gunahgar bahut the

    alfaz ada karti rahin bolti aankhen

    chup rah ke bhi wo mail-e-guftar bahut the

    aankhon ke darichon mein haya jag rahi thi

    soe the kuchh aise ki wo bedar bahut the

    wo shaKHs to har gam pe deta raha dhoke

    tum phir bhi 'nawed' us ke parastar bahut the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now