aankhon ko aansuon ki zarurat hai aaj bhi
āñkhoñ ko āñsuoñ kī zarūrat hai aaj bhī
jitnī bhī rah ga.ī hai mohabbat hai aaj bhī
sāzish kī ek shaam bujhā.e ga.e the ham
lekin diyoñ ko taaq se nisbat hai aaj bhī
kuchh bhī sañbhāl paa.e na ham tang-dast log
ye ḳhāk-dān-e-jism hī daulat hai aaj bhī
aise namāziyoñ kā vuzū bhī na kar qubūl
yā-rab diloñ meñ kitnī kudūrat hai aaj bhī
lekin tumhāre husn kā ne'mul-badal kahāñ
dil meñ to be-hisāb mohabbat hai aaj bhī
tā'līm de rahā huuñ mohabbat kī jism ko
mushkil ye hai ki ruuh kī sohbat hai aaj bhī
insān ban ke baiThā hai har ādmī-numā
duniyā pe ik ḳhayāl kī dahshat hai aaj bhī
aankhon ko aansuon ki zarurat hai aaj bhi
jitni bhi rah gai hai mohabbat hai aaj bhi
sazish ki ek sham bujhae gae the hum
lekin diyon ko taq se nisbat hai aaj bhi
kuchh bhi sanbhaal pae na hum tang-dast log
ye KHak-dan-e-jism hi daulat hai aaj bhi
aise namaziyon ka wuzu bhi na kar qubul
ya-rab dilon mein kitni kudurat hai aaj bhi
lekin tumhaare husn ka ne'mul-badal kahan
dil mein to be-hisab mohabbat hai aaj bhi
ta'lim de raha hun mohabbat ki jism ko
mushkil ye hai ki ruh ki sohbat hai aaj bhi
insan ban ke baiTha hai har aadmi-numa
duniya pe ek KHayal ki dahshat hai aaj bhi
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 68)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.