aankhon ko aansuon se mohabbat hai kya karun
āñkhoñ ko āñsuoñ se mohabbat hai kyā karūñ
dil par tumhāre ġham kī hukūmat hai kyā karūñ
shīshoñ kā hai makān ki hairāniyoñ kā ghar
sūrat har ek terī hī sūrat hai kyā karūñ
ho kar kabhī idhar se guzartī nahīñ bahār
mere chaman ko terī zarūrat hai kyā karūñ
ik pal bhī jaise saikḌoñ sadiyāñ tire baġhair
har saañs jaise ek qayāmat hai kyā karūñ
jiine hī de 'asīr' na marne hī de mujhe
ik tīr-e-nīm-kash kī 'ināyat hai kyā karūñ
aankhon ko aansuon se mohabbat hai kya karun
dil par tumhaare gham ki hukumat hai kya karun
shishon ka hai makan ki hairaniyon ka ghar
surat har ek teri hi surat hai kya karun
ho kar kabhi idhar se guzarti nahin bahaar
mere chaman ko teri zarurat hai kya karun
ek pal bhi jaise saikDon sadiyan tere baghair
har sans jaise ek qayamat hai kya karun
jine hi de 'asir' na marne hi de mujhe
ek tir-e-nim-kash ki 'inayat hai kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.