Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon ko ab nigah ki aadat nahin rahi

Bushra Hashmi

aankhon ko ab nigah ki aadat nahin rahi

Bushra Hashmi

MORE BYBushra Hashmi

    āñkhoñ ko ab nigāh aadat nahīñ rahī

    ab kuchh bhī dekhne zarūrat nahīñ rahī

    sachchā.iyoñ raah bahut ho ga.ī kaThin

    is rāste pe chalne himmat nahīñ rahī

    dushman ho dost ho koī apnā ki ġhair ho

    ham ko to ab kisī bhī hājat nahīñ rahī

    duniyā azīz-tar rahī ik arsa-e-darāz

    lekin ab is bhī to mohabbat nahīñ rahī

    arsa huā kisī ne pukārā nahīñ mujhe

    shāyad kisī ko merī zarūrat nahīñ rahī

    kāñTā ek dil meñ khaTaktā hai mustaqil

    par dil baat kahne aadat nahīñ rahī

    sarmāya-e-hayāt huā chāhtā hai ḳhatm

    jis par ġhurūr thā vahī daulat nahīñ rahī

    'bushrā' kabhī jo jaao vahāñ arz-e-hāl ko

    kahnā ki ham pe ab vo ināyat nahīñ rahī

    aankhon ko ab nigah ki aadat nahin rahi

    ab kuchh bhi dekhne ki zarurat nahin rahi

    sachchaiyon ki rah bahut ho gai kaThin

    is raste pe chalne ki himmat nahin rahi

    dushman ho dost ho koi apna ki ghair ho

    hum ko to ab kisi ki bhi hajat nahin rahi

    duniya aziz-tar rahi ek arsa-e-daraaz

    lekin ab is ki bhi to mohabbat nahin rahi

    arsa hua kisi ne pukara nahin mujhe

    shayad kisi ko meri zarurat nahin rahi

    kanTa sa ek dil mein khaTakta hai mustaqil

    par dil ki baat kahne ki aadat nahin rahi

    sarmaya-e-hayat hua chahta hai KHatm

    jis par ghurur tha wahi daulat nahin rahi

    'bushra' kabhi jo jao wahan arz-e-haal ko

    kahna ki hum pe ab wo inayat nahin rahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now