aankhon ko humne baam par bil-ehtiram rakh diya
āñkhoñ ko ham ne baam par bil-ehtirām rakh diyā
aur us hasīñ kī raah meñ dil gām-gām rakh diyā
maiñ to yahī huuñ sochtā rakh kar mujhe hisār meñ
siine meñ mere kis liye dil be-lagām rakh diyā
jab ham siyāh raat se kirneñ na kar sake kashīd
to ham ne shab kā naam hī sub.h-e-davām rakh diyā
TuuTā huā maiñ ek bhī taarā na us ko de sakā
us ne to mere sāmne māh-e-tamām rakh diyā
dahlīz-e-bait-e-lam-yazal par hai rakhī huī jabīñ
dil rū-ba-rū-e-rauza-e-ḳhair-ul-anām rakh diyā
maiñ ne to apnī zaat kī kul kā.enāt kā tire
dast-e-savāb-dīd par saarā nizām rakh diyā
mujh tak bhī daur-e-jām to aaya magar ye kyā huā
saaqī ne merī dastaras se duur jaam rakh diyā
us ne to rad hī kar diye mere mubālġhe sabhī
goyā ki ek buuñd kā 'sāgar' hī naam rakh diyā
aankhon ko hum ne baam par bil-ehtiram rakh diya
aur us hasin ki rah mein dil gam-gam rakh diya
main to yahi hun sochta rakh kar mujhe hisar mein
sine mein mere kis liye dil be-lagam rakh diya
jab hum siyah raat se kirnen na kar sake kashid
to hum ne shab ka nam hi subh-e-dawam rakh diya
TuTa hua main ek bhi tara na us ko de saka
us ne to mere samne mah-e-tamam rakh diya
dahliz-e-bait-e-lam-yazal par hai rakhi hui jabin
dil ru-ba-ru-e-rauza-e-KHair-ul-anam rakh diya
main ne to apni zat ki kul kaenat ka tere
dast-e-sawab-did par sara nizam rakh diya
mujh tak bhi daur-e-jam to aaya magar ye kya hua
saqi ne meri dastaras se dur jam rakh diya
us ne to rad hi kar diye mere mubaalghe sabhi
goya ki ek bund ka 'sagar' hi nam rakh diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.