aankhon ko kisi haal mein giryan na karenge
aankhon ko kisi haal mein giryan na karenge
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
āñkhoñ ko kisī haal meñ giryāñ na kareñge
ham ishq kī tauhīn kā sāmāñ na kareñge
jo apnā samajh kar hameñ baḳhshā hai kisī ne
us dard kā bhūle se bhī darmāñ na kareñge
hañs hañs ke sahe jā.eñge har jaur-e-mohabbat
shikvoñ se magar tum ko pashemāñ na kareñge
rusvā.ī-e-vahshat hameñ manzūr nahīñ hai
phūloñ kī tarah chaak girebāñ na kareñge
maujoñ se zarā khelnā aa jaane do ham ko
phir ham kabhī andesha-e-tūfāñ na kareñge
ab ho gayā ehsās hameñ azmat-e-ġham kā
ab ārzū-e-aish-e-farāvāñ na kareñge
gul aur hī kuchh fasl-e-bahārāñ ne khilā.e
ab phir se tamannā-e-bahārāñ na kareñge
rakkheñge yūñhī dil ko tapāñ ishq meñ 'manshā'
jab tak use tanvīr-badāmāñ na kareñge
aankhon ko kisi haal mein giryan na karenge
hum ishq ki tauhin ka saman na karenge
jo apna samajh kar hamein baKHsha hai kisi ne
us dard ka bhule se bhi darman na karenge
hans hans ke sahe jaenge har jaur-e-mohabbat
shikwon se magar tum ko pasheman na karenge
ruswai-e-wahshat hamein manzur nahin hai
phulon ki tarah chaak gireban na karenge
maujon se zara khelna aa jaane do hum ko
phir hum kabhi andesha-e-tufan na karenge
ab ho gaya ehsas hamein azmat-e-gham ka
ab aarzu-e-aish-e-farawan na karenge
gul aur hi kuchh fasl-e-bahaaran ne khilae
ab phir se tamanna-e-bahaaran na karenge
rakkhenge yunhi dil ko tapan ishq mein 'mansha'
jab tak use tanwir-badaman na karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.