aankhon mein aansuon ka guzara nahin raha
āñkhoñ meñ āñsuoñ kā guzārā nahīñ rahā
jab se bichhaḌ ke tū jo hamārā nahīñ rahā
tum ne bhulā diye vo mohabbat ke silsile
ik ham haiñ ulfatoñ se kinārā nahīñ rahā
manzar hasīn ḳhvāboñ se jab se bikhar ga.e
koī bhī phir nazar meñ dubāra nahīñ rahā
saarā jahān terī mohabbat meñ haar kar
kah duuñ maiñ tujh se kaise ḳhasāra nahīñ rahā
phūloñ kī baat ho ki sitāroñ kī zaat ho
kis par tire karam kā ishāra nahīñ rahā
'ābid' ye ham ne chāhā charāġhoñ ko phūñk deñ
us se bichhaḌ ke ye bhī gavāra nahīñ rahā
aankhon mein aansuon ka guzara nahin raha
jab se bichhaD ke tu jo hamara nahin raha
tum ne bhula diye wo mohabbat ke silsile
ek hum hain ulfaton se kinara nahin raha
manzar hasin KHwabon se jab se bikhar gae
koi bhi phir nazar mein dubara nahin raha
sara jahan teri mohabbat mein haar kar
kah dun main tujh se kaise KHasara nahin raha
phulon ki baat ho ki sitaron ki zat ho
kis par tere karam ka ishaara nahin raha
'abid' ye hum ne chaha charaghon ko phunk den
us se bichhaD ke ye bhi gawara nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.