aankhon mein aansuon ko ubharne nahin diya
āñkhoñ meñ āñsuoñ ko ubharne nahīñ diyā
miTTī meñ motiyoñ ko bikharne nahīñ diyā
jis raah par paḌe the tire paañv ke nishāñ
is raah se kisī ko guzarne nahīñ diyā
chāhā to chāhatoñ kī hadoñ se guzar ga.e
nashsha mohabbatoñ kā utarne nahīñ diyā
har baar hai nayā tire milne kā zā.iqa
aisā samar kisī bhī shajar ne nahīñ diyā
ye hijr hai to is kā faqat vasl hai ilaaj
ham ne ye zaḳhm-e-vaqt ko bharne nahīñ diyā
itne baḌe jahān meñ jā.egā tū kahāñ
is ik ḳhayāl ne mujhe marne nahīñ diyā
sāhil dikhā.ī de to rahā thā bahut qarīb
kashtī ko rāsta hī bhañvar ne nahīñ diyā
jitnā sakūñ milā hai tire saath raah meñ
itnā sukūn to mujhe ghar ne nahīñ diyā
is ne hañsī hañsī meñ mohabbat kī baat kī
maiñ ne 'adīm' us ko mukarne nahīñ diyā
aankhon mein aansuon ko ubharne nahin diya
miTTi mein motiyon ko bikharne nahin diya
jis rah par paDe the tere panw ke nishan
is rah se kisi ko guzarne nahin diya
chaha to chahaton ki hadon se guzar gae
nashsha mohabbaton ka utarne nahin diya
har bar hai naya tere milne ka zaiqa
aisa samar kisi bhi shajar ne nahin diya
ye hijr hai to is ka faqat wasl hai ilaj
hum ne ye zaKHm-e-waqt ko bharne nahin diya
itne baDe jahan mein jaega tu kahan
is ek KHayal ne mujhe marne nahin diya
sahil dikhai de to raha tha bahut qarib
kashti ko rasta hi bhanwar ne nahin diya
jitna sakun mila hai tere sath rah mein
itna sukun to mujhe ghar ne nahin diya
is ne hansi hansi mein mohabbat ki baat ki
main ne 'adim' us ko mukarne nahin diya
- Book : Faasle aise bhii ho.nge (Pg. 74)
- Author : Adeem Hashmi
- Publication : Rumail House of Publications (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.