aankhon mein ashk aur na labon par hansi rahi
āñkhoñ meñ ashk aur na laboñ par hañsī rahī
duniyā hamāre haal ko chup dekhtī rahī
barsoñ hamāre saath ravāñ zindagī rahī
āḳhir ko ajnabī kī vahī ajnabī rahī
tujh ko jinhoñ ne sāhab-e-mahfil banā diyā
mahfil meñ terī sirf unhīñ kī kamī rahī
baiThe to ek paikar-e-fitna bane rahe
uTThe to aa ke saath qayāmat khaḌī huī
ahl-e-junūñ to is se bhī aage nikal ga.e
manzil ke fāsloñ ko ḳhirad nāptī rahī
duniyā ko Thokaroñ meñ rakhā jis ne dosto
qadmoñ meñ aise shaḳhs ke duniyā paḌī rahī
ḳhāmosh ham bhī sunte rahe apnī dāstāñ
duniyā baġhair naam liye boltī rahī
jab se ġhamoñ kī bhiiḌ meñ ham kho ga.e 'nasīb'
us roz se ḳhushī bhī hameñ DhūñDhtī rahī
aankhon mein ashk aur na labon par hansi rahi
duniya hamare haal ko chup dekhti rahi
barson hamare sath rawan zindagi rahi
aaKHir ko ajnabi ki wahi ajnabi rahi
tujh ko jinhon ne sahab-e-mahfil bana diya
mahfil mein teri sirf unhin ki kami rahi
baiThe to ek paikar-e-fitna bane rahe
uTThe to aa ke sath qayamat khaDi hui
ahl-e-junun to is se bhi aage nikal gae
manzil ke faslon ko KHirad napti rahi
duniya ko Thokaron mein rakha jis ne dosto
qadmon mein aise shaKHs ke duniya paDi rahi
KHamosh hum bhi sunte rahe apni dastan
duniya baghair nam liye bolti rahi
jab se ghamon ki bhiD mein hum kho gae 'nasib'
us roz se KHushi bhi hamein DhunDhti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.