aankhon mein ashk honTon pe jaan dekhte rahe
aankhon mein ashk honTon pe jaan dekhte rahe
Mirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
MORE BYMirza Ghulam Abbas Zahir Haidari
āñkhoñ meñ ashk hoñToñ pe jaañ dekhte rahe
kitne maze kā soz-e-nihāñ dekhte rahe
har samt us kā husn 'ayāñ dekhte rahe
aur māvarā-e-kaun-o-makāñ dekhte rahe
dil ke 'alāva DhūñDā use har maqām par
taskīn-e-dil kahāñ thī kahāñ dekhte rahe
har zarra-e-ḳharāb meñ lākhoñ thiiñ bijliyāñ
ham be-qarār nabz-e-jahāñ dekhte rahe
ham par karam ke badle meñ hote rahe sitam
ham ‘ahd-e-gul meñ daur-e-ḳhizāñ dekhte rahe
'zāhir' kamāl dekhiye abnā-e-vaqt kā
hotī rahī tabāh zabāñ dekhte rahe
aankhon mein ashk honTon pe jaan dekhte rahe
kitne maze ka soz-e-nihan dekhte rahe
har samt us ka husn 'ayan dekhte rahe
aur mawara-e-kaun-o-makan dekhte rahe
dil ke 'alawa DhunDa use har maqam par
taskin-e-dil kahan thi kahan dekhte rahe
har zarra-e-KHarab mein lakhon thin bijliyan
hum be-qarar nabz-e-jahan dekhte rahe
hum par karam ke badle mein hote rahe sitam
hum ‘ahd-e-gul mein daur-e-KHizan dekhte rahe
'zahir' kamal dekhiye abna-e-waqt ka
hoti rahi tabah zaban dekhte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.