aankhon mein chalta hua jism hai taswir nahin
āñkhoñ meñ chaltā huā jism hai tasvīr nahīñ
aise manzar kī kahīñ koī bhī tadbīr nahīñ
maiñ nikaltā nahīñ vahshat meñ kabhī ghar se mire
maiñ samajhtā huuñ sarā.e ise zanjīr nahīñ
kah to detī ho ki maiñ pahlī mohabbat huuñ tirī
tere kahne meñ magar zarra bhī tāsīr nahīñ
bas yahī soch ke sapnoñ ko sajāyā na kabhī
mere sapnoñ kī yahāñ koī bhī ta.abīr nahīñ
maiñ agar chāhūñ badal jaa.eñ ye hālāt mire
dast-e-taqdīr ke qaabū meñ ye taqdīr nahīñ
aankhon mein chalta hua jism hai taswir nahin
aise manzar ki kahin koi bhi tadbir nahin
main nikalta nahin wahshat mein kabhi ghar se mere
main samajhta hun sarae ise zanjir nahin
kah to deti ho ki main pahli mohabbat hun teri
tere kahne mein magar zarra bhi tasir nahin
bas yahi soch ke sapnon ko sajaya na kabhi
mere sapnon ki yahan koi bhi tabir nahin
main agar chahun badal jaen ye haalat mere
dast-e-taqdir ke qabu mein ye taqdir nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.