aankhon mein chhalakte hain ham-rang-e-hina aansu
āñkhoñ meñ chhalakte haiñ ham-rang-e-hinā aañsū
mahjūr ke aañsū bhī hote haiñ balā aañsū
be-sāḳhta rone se taskīn sī hotī hai
dard-e-dil-e-mahzūñ kī haiñ kuchh to davā aañsū
ik ḳhasta-jigar āshiq ro ro ke ye kahtā thā
āsān hai har mushkil gar deñ na daġhā aañsū
sar ḳhaak pe dhar dhar kar dete haiñ duā dil se
haiñ āshiq-e-sādiq ke pāband-e-vafā aañsū
iksīr-e-mujarrab haiñ kar zabt inheñ ya.anī
dil hī kā ye jauhar haiñ dil hī ko pilā aañsū
majbūr hoñ bahne par be-sāḳhta gir jaa.eñ
qānūn-e-mohabbat meñ haiñ jab hī ravā aañsū
nāsūr-e-mohabbat kā hotā na 'amīñ' charchā
ġhammāz na ban jaate gar lāl-numā aañsū
aankhon mein chhalakte hain ham-rang-e-hina aansu
mahjur ke aansu bhi hote hain bala aansu
be-saKHta rone se taskin si hoti hai
dard-e-dil-e-mahzun ki hain kuchh to dawa aansu
ek KHasta-jigar aashiq ro ro ke ye kahta tha
aasan hai har mushkil gar den na dagha aansu
sar KHak pe dhar dhar kar dete hain dua dil se
hain aashiq-e-sadiq ke paband-e-wafa aansu
iksir-e-mujarrab hain kar zabt inhen yani
dil hi ka ye jauhar hain dil hi ko pila aansu
majbur hon bahne par be-saKHta gir jaen
qanun-e-mohabbat mein hain jab hi rawa aansu
nasur-e-mohabbat ka hota na 'amin' charcha
ghammaz na ban jate gar lal-numa aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.