aankhon mein ek KHamoshi hai lab par ek harf-e-dua sain
aankhon mein ek KHamoshi hai lab par ek harf-e-dua sain
Ashutosh Dwivedi
MORE BYAshutosh Dwivedi
āñkhoñ meñ ek ḳhāmoshī hai lab par ik harf-e-duā sā.īñ
ummīd kā tinkā haath liye dekho dil Duub rahā sā.īñ
kisī ahd ke daam chukānā haiñ kisī qasam kī laaj rakhī huī hai
abhī jiine meñ āsānī hai merī mushkileñ aur baḌhā sā.īñ
kuchh vahshat hai darkār mujhe ye raat nigalnā chāhe hai
merā chāñd āseb-zada sā.īñ merā taarā TuuT chukā sā.īñ
nāḳhudā huuñ maiñ apnī kashtī kā mere haath nahīñ haiñ ye chappū haiñ
mere paañv dhañse hue daldal meñ mere hosh-o-havās havā sā.īñ
maiñ sar liye ās-bharī gagrī kisī sūkhī huī naddī kī taraf
man hī man meñ paanī paanī kahtā huā bhaag rahā sā.īñ
aankhon mein ek KHamoshi hai lab par ek harf-e-dua sain
ummid ka tinka hath liye dekho dil Dub raha sain
kisi ahd ke dam chukana hain kisi qasam ki laj rakhi hui hai
abhi jine mein aasani hai meri mushkilen aur baDha sain
kuchh wahshat hai darkar mujhe ye raat nigalna chahe hai
mera chand aaseb-zada sain mera tara TuT chuka sain
naKHuda hun main apni kashti ka mere hath nahin hain ye chappu hain
mere panw dhanse hue daldal mein mere hosh-o-hawas hawa sain
main sar liye aas-bhari gagri kisi sukhi hui naddi ki taraf
man hi man mein pani pani kahta hua bhag raha sain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.