aankhon mein ek KHwab tha wo bhi pighal gaya
āñkhoñ meñ ek ḳhvāb thā vo bhī pighal gayā
tum kyā ga.e ki shahr kā mausam badal gayā
jaltā rahā havāoñ ke aage mirā charāġh
ik sāneha thā maañ kī duāoñ se Tal gayā
kyā zabt-e-ġham kī aag hai mujh meñ lagī huī
mere qarīb se jo gayā vo bhī jal gayā
chup-chāp the to koī hameñ pūchhtā na thā
āñdhī kā zor dekh ke dariyā sañbhal gayā
ab sochne ke vāste kuchh bhī nahīñ rahā
us kā ḳhayāl jo mire dil se nikal gayā
ham apnī baat kah na sake ai ‘qamar-surūr'
jo mājrā thā dard kā ashkoñ meñ Dhal gayā
aankhon mein ek KHwab tha wo bhi pighal gaya
tum kya gae ki shahr ka mausam badal gaya
jalta raha hawaon ke aage mera charagh
ek saneha tha man ki duaon se Tal gaya
kya zabt-e-gham ki aag hai mujh mein lagi hui
mere qarib se jo gaya wo bhi jal gaya
chup-chap the to koi hamein puchhta na tha
aandhi ka zor dekh ke dariya sanbhal gaya
ab sochne ke waste kuchh bhi nahin raha
us ka KHayal jo mere dil se nikal gaya
hum apni baat kah na sake ai ‘qamar-surur'
jo majra tha dard ka ashkon mein Dhal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.