aankhon mein hon sarab to kya kya dikhai de
āñkhoñ meñ hoñ sarāb to kyā kyā dikhā.ī de
paanī ke darmiyān bhī sahrā dikhā.ī de
bīnā.ī rakh ke dekh mirī apnī aañkh meñ
shāyad tujhe bhī dard kī duniyā dikhā.ī de
duniyā nahīñ numā.ish-e-mekāniyāt hai
har aadmī machine kā purza dikhā.ī de
aadam ġhubār-e-vaqt meñ shāyad bikhar gayā
havvā zamīn-e-rizq pe tanhā dikhā.ī de
jis inqalāb-e-nūr kā charchā hai shahr meñ
mujh ko to vo bhī raat kā harba dikhā.ī de
niklo to har galī meñ añdhere kā raaj hai
dekho to kuchh gharoñ meñ ujālā dikhā.ī de
shatranj hai siyāsat-e-daurāñ kā khel bhī
hākim bhī apne taḳht pe mohra dikhā.ī de
aankhon mein hon sarab to kya kya dikhai de
pani ke darmiyan bhi sahra dikhai de
binai rakh ke dekh meri apni aankh mein
shayad tujhe bhi dard ki duniya dikhai de
duniya nahin numaish-e-mekaniyat hai
har aadmi machine ka purza dikhai de
aadam ghubar-e-waqt mein shayad bikhar gaya
hawwa zamin-e-rizq pe tanha dikhai de
jis inqalab-e-nur ka charcha hai shahr mein
mujh ko to wo bhi raat ka harba dikhai de
niklo to har gali mein andhere ka raj hai
dekho to kuchh gharon mein ujala dikhai de
shatranj hai siyasat-e-dauran ka khel bhi
hakim bhi apne taKHt pe mohra dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.