aankhon mein insan basae ja sakte hain
āñkhoñ meñ insān basā.e jā sakte haiñ
dil par yuuñ ehsān jatā.e jā sakte haiñ
ishq-nagar meñ bas niyyat dekhī jaatī hai
kāġhaz ke gul-dān banā.e jā sakte haiñ
chāñdnī raat meñ maddham sūraj ug saktā hai
sochoñ par bohtān lagā.e jā sakte haiñ
janmoñ kī ḳhāmoshī jab jab bolnā chāhe
dīvāroñ ke kaan banā.e jā sakte haiñ
sunā hai 'hāris' hoñToñ ke amrit-ras meñ bhī
zahr-bhare paikān milā.e jā sakte haiñ
aankhon mein insan basae ja sakte hain
dil par yun ehsan jatae ja sakte hain
ishq-nagar mein bas niyyat dekhi jati hai
kaghaz ke gul-dan banae ja sakte hain
chandni raat mein maddham suraj ug sakta hai
sochon par bohtan lagae ja sakte hain
janmon ki KHamoshi jab jab bolna chahe
diwaron ke kan banae ja sakte hain
suna hai 'haaris' honTon ke amrit-ras mein bhi
zahr-bhare paikan milae ja sakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.