Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon mein kachchi nind ke sapne bikhar gae

Javed Akram Farooqi

aankhon mein kachchi nind ke sapne bikhar gae

Javed Akram Farooqi

MORE BYJaved Akram Farooqi

    āñkhoñ meñ kachchī niiñd ke sapne bikhar ga.e

    shāḳhoñ pe phuul khilne se pahle bikhar ga.e

    palkeñ bichhā.e raah meñ baiThe the hādse

    achchhā huā safar ke irāde bikhar ga.e

    ham ne bahut sañbhāl ke rakkhe the rāt-din

    āñgan meñ maslahat ke taqāze bikhar ga.e

    aisī havā chalī ki du'ā.eñ laraz ga.iiñ

    pal meñ kitāb-e-zīst ke safhe bikhar ga.e

    kab tak 'azīz rakhte mire bhaa.ī bhī mujhe

    be-rozgārī meñ sabhī rishte bikhar ga.e

    kab tak uThāte bojh buzurgoñ ke qarz

    sūraj ko chhū ke phuul se bachche bikhar ga.e

    aankhon mein kachchi nind ke sapne bikhar gae

    shaKHon pe phul khilne se pahle bikhar gae

    palken bichhae rah mein baiThe the hadse

    achchha hua safar ke irade bikhar gae

    hum ne bahut sanbhaal ke rakkhe the raat-din

    aangan mein maslahat ke taqaze bikhar gae

    aisi hawa chali ki du'aen laraz gain

    pal mein kitab-e-zist ke safhe bikhar gae

    kab tak 'aziz rakhte mere bhai bhi mujhe

    be-rozgari mein sabhi rishte bikhar gae

    kab tak uThate bojh buzurgon ke qarz ka

    suraj ko chhu ke phul se bachche bikhar gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now