aankhon mein kahan wo binai didar ki baaten karte ho
aankhon mein kahan wo binai didar ki baaten karte ho
Mohammad Muzammil Khan
MORE BYMohammad Muzammil Khan
āñkhoñ meñ kahāñ vo bīnā.ī dīdār kī bāteñ karte ho
kaisā jalva kis kā jalva bekār kī bāteñ karte ho
ai rāh-e-vafā ke dīvānoñ lo zabt se thoḌā kaam yahāñ
do chaar qadam chalne par kyoñ tum ḳhaar kī bāteñ karte ho
ye bhāv-tāv kī jagah nahīñ yaañ haañ haañ karnī paḌtī hai
kūche meñ mohabbat ke yaaro bāzār kī bāteñ karte ho
iqrār jahāñ nazreñ kar deñ kyā kaam vahāñ phir lafzoñ kā
chhoḌo bhī jaane do kyoñ ab guftār kī bāteñ karte ho
tūfānoñ se Takrāne kā rakhte haiñ saroñ meñ jo saudā
tum aise junūnī logoñ se mañjhdār kī bāteñ karte ho
ādāb-e-mohabbat se tum bhī haañ ḳhuub shanāsā ho hī ga.e
sab jiit kī bāteñ karte haiñ tum haar kī bāteñ karte ho
ab sehn-e-chaman meñ mātam hai rote haiñ gale mil mil kar sab
is daur-e-ḳhizāñ meñ nādāno gulzār kī bāteñ karte ho
shāyad yuuñ hī tum se sab apne rahte haiñ muzammil' bad-zan se
is daur-e-kashākash meñ bhī tum kirdār kī bāteñ karte ho
aankhon mein kahan wo binai didar ki baaten karte ho
kaisa jalwa kis ka jalwa bekar ki baaten karte ho
ai rah-e-wafa ke diwanon lo zabt se thoDa kaam yahan
do chaar qadam chalne par kyon tum KHar ki baaten karte ho
ye bhaw-taw ki jagah nahin yan han han karni paDti hai
kuche mein mohabbat ke yaro bazar ki baaten karte ho
iqrar jahan nazren kar den kya kaam wahan phir lafzon ka
chhoDo bhi jaane do kyon ab guftar ki baaten karte ho
tufanon se Takrane ka rakhte hain saron mein jo sauda
tum aise jununi logon se manjhdar ki baaten karte ho
aadab-e-mohabbat se tum bhi han KHub shanasa ho hi gae
sab jit ki baaten karte hain tum haar ki baaten karte ho
ab sehn-e-chaman mein matam hai rote hain gale mil mil kar sab
is daur-e-KHizan mein nadano gulzar ki baaten karte ho
shayad yun hi tum se sab apne rahte hain muzammil' bad-zan se
is daur-e-kashakash mein bhi tum kirdar ki baaten karte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.