aankhon mein khube jae hai taswir lage hai
āñkhoñ meñ khube jaa.e hai tasvīr lage hai
ash.ār se jhalke hai javāñ 'mīr' lage hai
sau baar likhā hai use sau baar paḌhā hai
phir bhī vo koī ajnabī tahrīr lage hai
mujh jaisā gunahgār navāzā gayā kaise
mujh ko to kisī aur kī taqdīr lage hai
āñkhoñ meñ utar aatā hai ik aa.ina chehra
mujh ko vo mire ḳhvāb kī ta.abīr lage hai
ik umr ḳhayāloñ meñ rakhā jis ko basā.e
kal purse se niklī hai to dil-gīr lage hai
us shoḳh-dahan ke lab-o-lahje kā fusūñ hai
barchhī kabhī bhālā jo kabhī tiir lage hai
'ġhālib' kī qalam-rau kā ġhazal naam hai 'ḳhusrav'
mujh ko to suḳhan 'mīr' kī jāgīr lage hai
aankhon mein khube jae hai taswir lage hai
ashaar se jhalke hai jawan 'mir' lage hai
sau bar likha hai use sau bar paDha hai
phir bhi wo koi ajnabi tahrir lage hai
mujh jaisa gunahgar nawaza gaya kaise
mujh ko to kisi aur ki taqdir lage hai
aankhon mein utar aata hai ek aaina chehra
mujh ko wo mere KHwab ki tabir lage hai
ek umr KHayalon mein rakha jis ko basae
kal purse se nikli hai to dil-gir lage hai
us shoKH-dahan ke lab-o-lahje ka fusun hai
barchhi kabhi bhaala jo kabhi tir lage hai
'ghaalib' ki qalam-rau ka ghazal nam hai 'KHusraw'
mujh ko to suKHan 'mir' ki jagir lage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.