aankhon mein mel-jol ka naqsha simaT gaya
āñkhoñ meñ mel-jol kā naqsha simaT gayā
dekhā use to barsoñ kā rasta simaT gayā
mere qarīb koī bhī apnā nahīñ rahā
vo kyā gayā ki ek zamāna simaT gayā
is ghar ke mausamoñ ko patā bhī na chal sakā
dīvār jab uThā.ī to kyā kyā simaT gayā
alfāz DhūñDte hī rahe tarz-e-guftugū
vo husn thā ki kuuze meñ dariyā simaT gayā
vo dil nahīñ rahe na rahī ab vo dil-lagī
har shaḳhs apne aap meñ itnā simaT gayā
asbāb baT gayā thā bichhaḌne ke saath saath
kaisā baḌā makān thā kitnā simaT gayā
'ḳhurram-‘alī' yahāñ se vahāñ tak kā fāsla
bas do qadam chale the ki rasta simaT gayā
aankhon mein mel-jol ka naqsha simaT gaya
dekha use to barson ka rasta simaT gaya
mere qarib koi bhi apna nahin raha
wo kya gaya ki ek zamana simaT gaya
is ghar ke mausamon ko pata bhi na chal saka
diwar jab uThai to kya kya simaT gaya
alfaz DhunDte hi rahe tarz-e-guftugu
wo husn tha ki kuze mein dariya simaT gaya
wo dil nahin rahe na rahi ab wo dil-lagi
har shaKHs apne aap mein itna simaT gaya
asbab baT gaya tha bichhaDne ke sath sath
kaisa baDa makan tha kitna simaT gaya
'KHurram-‘ali' yahan se wahan tak ka fasla
bas do qadam chale the ki rasta simaT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.