aankhon mein mohabbat hai to hathon mein hai talwar
aankhon mein mohabbat hai to hathon mein hai talwar
Zaryab Hasan Taheem
MORE BYZaryab Hasan Taheem
āñkhoñ meñ mohabbat hai to hāthoñ meñ hai talvār
khultā hī nahīñ mujh pe ki kaise haiñ mire yaar
ye baat alag hai ki koī kahtā nahīñ hai
be-aib nahīñ varna yahāñ sāhab-e-dastār
mahrūmī-e-qismat kā ye aalam hai ki ham log
marne se haiñ ḳhā.if kabhī jiine se haiñ bezār
kyā vaqt thā dariyā meñ ravānī bhī ġhazab thī
kyā vaqt hai ab mujh meñ nahīñ quvvat-e-guftār
'zaryāb' yahī baat mujhe maar rahī hai
tū bhī na huā saath mire chalne ko tayyār
aankhon mein mohabbat hai to hathon mein hai talwar
khulta hi nahin mujh pe ki kaise hain mere yar
ye baat alag hai ki koi kahta nahin hai
be-aib nahin warna yahan sahab-e-dastar
mahrumi-e-qismat ka ye aalam hai ki hum log
marne se hain KHaif kabhi jine se hain bezar
kya waqt tha dariya mein rawani bhi ghazab thi
kya waqt hai ab mujh mein nahin quwwat-e-guftar
'zaryab' yahi baat mujhe mar rahi hai
tu bhi na hua sath mere chalne ko tayyar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.