aankhon mein qaid hai teri taswir lakhnau
āñkhoñ meñ qaid hai tirī tasvīr lakhna.ū
TuuTī nahīñ hai qurb kī zanjīr lakhna.ū
kal raat maiñ ne ḳhvāb meñ dekhā thā 'mīr' ko
hai ya.anī mere ḳhvāb kī ta.abīr lakhna.ū
āñkheñ taras ga.iiñ tire dīdār ke liye
is baar ho ga.ī mujhe tāḳhīr lakhna.ū
dil meñ amīnābād to lab par husain-ābād
kis taur se karūñ tirī tafsīr lakhna.ū
ilm-o-adab javān hue terī god meñ
duniyā meñ aam hai tirī tauqīr lakhna.ū
shā.ir adiib aur mufassir kī shakl meñ
phailā.ī tū ne ilm kī tanvīr lakhna.ū
darkār hai haqīr ko gahvāra-e-adab
manzil hai lakhna.ū mirī taqdīr lakhna.ū
do nisbateñ milī haiñ mujhe donoñ bā-sharaf
buniyād merī sirsī hai ta.amīr lakhna.ū
siina shigāf ho gayā jahl-o-juhūl kā
barsā.e tū ne ilm ke jab tiir lakhna.ū
‘mehvar’ banā huā hai tū ahl-e-zabān kā
ausāf kyā karūñ tire tahrīr lakhna.ū
aankhon mein qaid hai teri taswir lakhnau
TuTi nahin hai qurb ki zanjir lakhnau
kal raat main ne KHwab mein dekha tha 'mir' ko
hai yani mere KHwab ki tabir lakhnau
aankhen taras gain tere didar ke liye
is bar ho gai mujhe taKHir lakhnau
dil mein aminabaad to lab par husain-abaad
kis taur se karun teri tafsir lakhnau
ilm-o-adab jawan hue teri god mein
duniya mein aam hai teri tauqir lakhnau
shair adib aur mufassir ki shakl mein
phailai tu ne ilm ki tanwir lakhnau
darkar hai haqir ko gahwara-e-adab
manzil hai lakhnau meri taqdir lakhnau
do nisbaten mili hain mujhe donon ba-sharaf
buniyaad meri sirsi hai tamir lakhnau
sina shigaf ho gaya jahl-o-juhul ka
barsae tu ne ilm ke jab tir lakhnau
‘mehwar’ bana hua hai tu ahl-e-zaban ka
ausaf kya karun tere tahrir lakhnau
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.