aankhon mein sare karb ke manzar sameT lae
āñkhoñ meñ saare karb ke manzar sameT laa.e
duniyā kā zahr apne hī andar sameT laa.e
ghar meñ utartī shaam se ghabrā ga.e the ham
chhat par chaḌhe to dhuup ke kuchh par sameT laa.e
sūraj thā tez-gām to ham ne bhī ye kiyā
parchhā.iyoñ ko qad ke barābar sameT laa.e
yalġhār baḌh rahī thī savere kī is liye
sālār-e-vaqt raat ke lashkar sameT laa.e
tark-e-ta'alluqāt kī be-hurmatī na ho
rishtoñ ko apne soch-samajh kar sameT laa.e
māyūsiyoñ ko ik na.ī hijrat ke vāste
ham qāfile kī aañkh bachā kar sameT laa.e
aankhon mein sare karb ke manzar sameT lae
duniya ka zahr apne hi andar sameT lae
ghar mein utarti sham se ghabra gae the hum
chhat par chaDhe to dhup ke kuchh par sameT lae
suraj tha tez-gam to hum ne bhi ye kiya
parchhaiyon ko qad ke barabar sameT lae
yalghaar baDh rahi thi sawere ki is liye
salar-e-waqt raat ke lashkar sameT lae
tark-e-ta'alluqat ki be-hurmati na ho
rishton ko apne soch-samajh kar sameT lae
mayusiyon ko ek nai hijrat ke waste
hum qafile ki aankh bacha kar sameT lae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.