Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhon mein sitare rahne de

Nadeem Rafi

aankhon mein sitare rahne de

Nadeem Rafi

MORE BYNadeem Rafi

    āñkhoñ meñ sitāre rahne de

    jiine ke sahāre rahne de

    ham kashtī jalā kar aa.e haiñ

    ab ruup kināre rahne de

    us husn-samundar jānib

    bahte hue dhāre rahne de

    ye vaqt to andhā sūraj hai

    kyoñ rañg tumhāre rahne de

    mat chhīn panaptī ummīdeñ

    kuchh paas hamāre rahne de

    vo yaad to aa.egā lekin

    ab kaun pukāre rahne de

    ham hijr-zadoñ bastī meñ

    kuchh hijr ke maare rahne de

    nazroñ ke tasādum meñ larzāñ

    mauhūm ishāre rahne de

    aankhon mein sitare rahne de

    jine ke sahaare rahne de

    hum kashti jala kar aae hain

    ab rup kinare rahne de

    us husn-samundar ki jaanib

    bahte hue dhaare rahne de

    ye waqt to andha suraj hai

    kyon rang tumhaare rahne de

    mat chhin panapti ummiden

    kuchh pas hamare rahne de

    wo yaad to aaega lekin

    ab kaun pukare rahne de

    hum hijr-zadon ki basti mein

    kuchh hijr ke mare rahne de

    nazron ke tasadum mein larzan

    mauhum ishaare rahne de

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 644)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now