aankhon mein teri nur-e-sahar chhoD jaunga
āñkhoñ meñ terī nūr-e-sahar chhoḌ jā.ūñgā
maiñ zulmatoñ meñ shams-o-qamar chhoḌ jā.ūñgā
mujh ko talāsh kartī rahe tujh meñ kā.enāt
yādoñ kā apnī aisā asar chhoḌ jā.ūñgā
dekhegā tū har ek ko merī nigāh se
terī nazar meñ apnī nazar chhoḌ jā.ūñgā
mujh ko na kar sakegā farāmosh tū kabhī
jiine kā maiñ to mar ke hunar chhoḌ jā.ūñgā
phūTegī tīrgī se mohabbat kī raushnī
dāman meñ shaam ke meñ sahar chhoḌ jā.ūñgā
mar kar bhī tere jism meñ zinda rahūñgā maiñ
terī ragoñ meñ ḳhūn-e-jigar chhoḌ jā.ūñgā
ḳhuuñ meñ mire chhupā hai ḳhazāna hayāt kā
maiñ jaate jaate la.al-o-gohar chhoḌ jā.ūñgā
'tauqīr' mehmān huuñ maiñ apne jism meñ
jis ghar meñ rah rahā huuñ vo ghar chhoḌ jā.ūñgā
aankhon mein teri nur-e-sahar chhoD jaunga
main zulmaton mein shams-o-qamar chhoD jaunga
mujh ko talash karti rahe tujh mein kaenat
yaadon ka apni aisa asar chhoD jaunga
dekhega tu har ek ko meri nigah se
teri nazar mein apni nazar chhoD jaunga
mujh ko na kar sakega faramosh tu kabhi
jine ka main to mar ke hunar chhoD jaunga
phuTegi tirgi se mohabbat ki raushni
daman mein sham ke mein sahar chhoD jaunga
mar kar bhi tere jism mein zinda rahunga main
teri ragon mein KHun-e-jigar chhoD jaunga
KHun mein mere chhupa hai KHazana hayat ka
main jate jate lal-o-gohar chhoD jaunga
'tauqir' mehman hun main apne jism mein
jis ghar mein rah raha hun wo ghar chhoD jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.