aankhon ne bahut din se qayamat nahin dekhi
āñkhoñ ne bahut din se qayāmat nahīñ dekhī
muddat huī achchhī koī sūrat nahīñ dekhī
chehroñ kī tarah kis liye murjhā.e hue haiñ
phūloñ ne to ham jaisī musībat nahīñ dekhī
vo shahr se guzrā thā faqat yaad hai utnā
phir koī bhī dastār salāmat nahīñ dekhī
lauTe jo masāfat se to maiñ us se ye pūchhūñ
bastī to koī raah meñ ġhārat nahīñ dekhī
girte hue pattoñ kī sadā.eñ mire dil se
kahtī haiñ ki tū ne koī hijrat nahīñ dekhī
aankhon ne bahut din se qayamat nahin dekhi
muddat hui achchhi koi surat nahin dekhi
chehron ki tarah kis liye murjhae hue hain
phulon ne to hum jaisi musibat nahin dekhi
wo shahr se guzra tha faqat yaad hai utna
phir koi bhi dastar salamat nahin dekhi
lauTe jo masafat se to main us se ye puchhun
basti to koi rah mein ghaarat nahin dekhi
girte hue patton ki sadaen mere dil se
kahti hain ki tu ne koi hijrat nahin dekhi
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 156)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.