aankhon ne kabhi meri ye manzar nahin dekha
āñkhoñ ne kabhī merī ye manzar nahīñ dekhā
ġhavvās ne aisā kabhī gauhar nahīñ dekhā
ho jātīñ sharaf-yāb ye āvāra havā.eñ
galiyoñ se kabhī us kī guzar kar nahīñ dekhā
ārāsta hai ḳhud hī adāoñ se sitam-gar
phir kyā hai ajab us pe jo zevar nahīñ dekhā
thā najm-shanāsī kā baḌā zo.am jo ḳhud par
us jaisā falak par magar aḳhtar nahīñ dekhā
thī un kī saḳhāvat to samundar kī tarah se
afsos ki mahrūm ne langar nahīñ dekhā
likkhā thā talabgār ne ik harf-e-muāfī
kyā ḳhuub sitam Dhāyā jo paḌh kar nahīñ dekhā
yuuñ qaid hue us ke ki 'zīshān' na pūchho
pal bhar ke liye ḳhud se nikal kar nahīñ dekhā
aankhon ne kabhi meri ye manzar nahin dekha
ghawwas ne aisa kabhi gauhar nahin dekha
ho jatin sharaf-yab ye aawara hawaen
galiyon se kabhi us ki guzar kar nahin dekha
aarasta hai KHud hi adaon se sitam-gar
phir kya hai ajab us pe jo zewar nahin dekha
tha najm-shanasi ka baDa zoam jo KHud par
us jaisa falak par magar aKHtar nahin dekha
thi un ki saKHawat to samundar ki tarah se
afsos ki mahrum ne langar nahin dekha
likkha tha talabgar ne ek harf-e-muafi
kya KHub sitam Dhaya jo paDh kar nahin dekha
yun qaid hue us ke ki 'zishan' na puchho
pal bhar ke liye KHud se nikal kar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.