aankhon par aah yas ka parda sa paD gaya
āñkhoñ par aah yaas kā parda sā paḌ gayā
duniyā ujaḌ ga.ī ki mirā dil ujaḌ gayā
allāh kaisā tafraqa marne se paḌ gayā
maiñ ek saath saare jahāñ se bichhaḌ gayā
ab soz-e-dil ke naaz uThā.e na jā.eñge
aañsū jahāñ girā vahīñ nāsūr paḌ gayā
mahshar isī kā naam hai parvā nahīñ unheñ
duniyā bigaḌ ga.ī ki gharauñdā bigaḌ gayā
marnā paḌā kise tire zauq-e-gunāh se
ai dil ḳhabar bhī hai koī ġhairat se gaḌ gayā
āñkhoñ meñ ab to aur bhī phirtā hai āshiyāñ
haañ sun liyā bahār kā ḳhema ukhaḌ gayā
ab āsmān chiir ke niklegā kis kā dil
tār-e-ḳhayāl meñ koī mujh ko jakaḌ gayā
vaqt-e-vidā.a dil pe kuchh aisī guzar ga.ī
ab tak ḳhabar nahīñ ki maiñ kis se bichhaḌ gayā
ai nāḳhun-e-fanā tirī shoḳhī ke maiñ nisār
qudrat ne jo kiyā thā vo baḳhiya ukhaḌ gayā
vo koī aur chiiz hai āshiq kā dil nahīñ
jis dil meñ ban ke naqsh-e-tamannā bigaḌ gayā
hasrat se dekhtā hī rahā pīr-e-mai-kada
aur josh-e-mai meñ shīsha se paimāna laḌ gayā
qudrat ne haath chuum liye us ke vajd meñ
jo naqsh-e-kā.enāt par ā.īna jaḌ gayā
duniyā karāhne kī sadā ban ke rah ga.ī
maiñ dil ko marte dekh kar aafat meñ paḌ gayā
aankhon par aah yas ka parda sa paD gaya
duniya ujaD gai ki mera dil ujaD gaya
allah kaisa tafraqa marne se paD gaya
main ek sath sare jahan se bichhaD gaya
ab soz-e-dil ke naz uThae na jaenge
aansu jahan gira wahin nasur paD gaya
mahshar isi ka nam hai parwa nahin unhen
duniya bigaD gai ki gharaunda bigaD gaya
marna paDa kise tere zauq-e-gunah se
ai dil KHabar bhi hai koi ghairat se gaD gaya
aankhon mein ab to aur bhi phirta hai aashiyan
han sun liya bahaar ka KHema ukhaD gaya
ab aasman chir ke niklega kis ka dil
tar-e-KHayal mein koi mujh ko jakaD gaya
waqt-e-widaa dil pe kuchh aisi guzar gai
ab tak KHabar nahin ki main kis se bichhaD gaya
ai naKHun-e-fana teri shoKHi ke main nisar
qudrat ne jo kiya tha wo baKHiya ukhaD gaya
wo koi aur chiz hai aashiq ka dil nahin
jis dil mein ban ke naqsh-e-tamanna bigaD gaya
hasrat se dekhta hi raha pir-e-mai-kada
aur josh-e-mai mein shisha se paimana laD gaya
qudrat ne hath chum liye us ke wajd mein
jo naqsh-e-kaenat par aaina jaD gaya
duniya karahne ki sada ban ke rah gai
main dil ko marte dekh kar aafat mein paD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.