aankhon pe tez dhup ka koi asar nahin
āñkhoñ pe tez dhuup kā koī asar nahīñ
ham saarī shab guzār chuke haiñ magar nahīñ
ham apnī apnī soch ke qaa.il to ho ga.e
par soch vo ki jis ke abhī bāl-o-par nahīñ
is tishnagī kā zikr koī kis se ab kare
sahrā meñ duur duur talak koī dar nahīñ
har shaḳhs chāhtā hai havāoñ pe iḳhtiyār
lekin sabhī ke haath lage vo hunar nahīñ
phirtā hai saath saath hamāre tamām 'umr
lagtā hai āsmān kā ab koī ghar nahīñ
le aa.ī aise moḌ pe ab zindagī jahāñ
marne kā intizār hai marne kā Dar nahīñ
aankhon pe tez dhup ka koi asar nahin
hum sari shab guzar chuke hain magar nahin
hum apni apni soch ke qail to ho gae
par soch wo ki jis ke abhi baal-o-par nahin
is tishnagi ka zikr koi kis se ab kare
sahra mein dur dur talak koi dar nahin
har shaKHs chahta hai hawaon pe iKHtiyar
lekin sabhi ke hath lage wo hunar nahin
phirta hai sath sath hamare tamam 'umr
lagta hai aasman ka ab koi ghar nahin
le aai aise moD pe ab zindagi jahan
marne ka intizar hai marne ka Dar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.