aankhon se aansuon ki nishani miTa ke dekh
āñkhoñ se āñsuoñ kī nishānī miTā ke dekh
muskān kī rubber ko zarā aazmā ke dekh
dīvāroñ ke bhī kaan haiñ ye boltī bhī haiñ
ek baar in ko raaz to koī batā ke dekh
rishte baneñge phir na.e lamhoñ se bhī tire
maazī kī talḳhiyoñ se marāsim ghaTā ke dekh
kuchh yuuñ udāsiyoñ ko ġham-e-dil se duur kar
nazreñ milā ġhamoñ se zarā muskurā ke dekh
koī nahīñ hai duur talak duuñ kise sadā
aisā lage agar to ḳhudā ko bulā ke dekh
dil ke liye hai achchhā ḳhayālī-pulāv bhī
kyā harj hai kabhī to use bhī pakā ke dekh
achchhā lagegā tujh ko tirā saath bhī 'sifar'
kuchh pal to ḳhud ke saath bhī ik din bitā ke dekh
aankhon se aansuon ki nishani miTa ke dekh
muskan ki rubber ko zara aazma ke dekh
diwaron ke bhi kan hain ye bolti bhi hain
ek bar in ko raaz to koi bata ke dekh
rishte banenge phir nae lamhon se bhi tere
mazi ki talKHiyon se marasim ghaTa ke dekh
kuchh yun udasiyon ko gham-e-dil se dur kar
nazren mila ghamon se zara muskura ke dekh
koi nahin hai dur talak dun kise sada
aisa lage agar to KHuda ko bula ke dekh
dil ke liye hai achchha KHayali-pulaw bhi
kya harj hai kabhi to use bhi paka ke dekh
achchha lagega tujh ko tera sath bhi 'sifar'
kuchh pal to KHud ke sath bhi ek din bita ke dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.