aankhon se ho ke dil mein wo surat utar gai
āñkhoñ se ho ke dil meñ vo sūrat utar ga.ī
mumkin na thī jo baat vahī baat kar ga.ī
kyā jaane kyā vo ġham thā jo har dil ko chhū gayā
jo aañkh bhī ga.ī tirī mahfil se tar ga.ī
merā hī āshiyāñ thā girīñ jis pe bijliyāñ
merī hī ḳhaak thī jo havā meñ bikhar ga.ī
Tiktī na thī kisī pe zamāne meñ aaj tak
dekhā tumheñ to phir na kisī par nazar ga.ī
jaate hue jahāñ se yahī sochte haiñ log
haa.e vo zindagī vo javānī kidhar ga.ī
dāman chhuḌā ke aap chale to ga.e magar
ham kyā kaheñ jo dil pe hamāre guzar ga.ī
ro.e shab-e-firāq ham itnā ki ai 'kañval'
dāman nichoḌtī huī apnā sahar ga.ī
aankhon se ho ke dil mein wo surat utar gai
mumkin na thi jo baat wahi baat kar gai
kya jaane kya wo gham tha jo har dil ko chhu gaya
jo aankh bhi gai teri mahfil se tar gai
mera hi aashiyan tha girin jis pe bijliyan
meri hi KHak thi jo hawa mein bikhar gai
Tikti na thi kisi pe zamane mein aaj tak
dekha tumhein to phir na kisi par nazar gai
jate hue jahan se yahi sochte hain log
hae wo zindagi wo jawani kidhar gai
daman chhuDa ke aap chale to gae magar
hum kya kahen jo dil pe hamare guzar gai
roe shab-e-firaq hum itna ki ai 'kanwal'
daman nichoDti hui apna sahar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.