aankhon se ho rahi hai jo barsat hi to hai
āñkhoñ se ho rahī hai jo barsāt hī to hai
mujh par kisī kī chashm-e-ināyāt hī to hai
jo rafta-rafta utrā hai dil ke makān meñ
koī nahīñ vo sirf tirī zaat hī to hai
sab pesh aa rahe haiñ ḳhulūs-o-vafā ke saath
ye zindagī kī merī baḌī baat hī to hai
toḌā na ham ne sabr kā dāman isī liye
lambī hai ġham kī raat magar raat hī to hai
ye jhiil ye pahāḌ ye jharne ye ābshār
jo kuchh hai sab ḳhudā kī ināyāt hī to hai
be-iḳhtiyārī aur ye be-tābiyāñ 'hirā'
ye sab mohabbatoñ kī shurūāt hī to hai
aankhon se ho rahi hai jo barsat hi to hai
mujh par kisi ki chashm-e-inayat hi to hai
jo rafta-rafta utra hai dil ke makan mein
koi nahin wo sirf teri zat hi to hai
sab pesh aa rahe hain KHulus-o-wafa ke sath
ye zindagi ki meri baDi baat hi to hai
toDa na hum ne sabr ka daman isi liye
lambi hai gham ki raat magar raat hi to hai
ye jhil ye pahaD ye jharne ye aabshaar
jo kuchh hai sab KHuda ki inayat hi to hai
be-iKHtiyari aur ye be-tabiyan 'hira'
ye sab mohabbaton ki shuruat hi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.