aankhon se ek KHwab guzarne wala hai
āñkhoñ se ik ḳhvāb guzarne vaalā hai
khiḌkī se mahtāb guzarne vaalā hai
sadiyoñ ke in ḳhvāb-gazīda shahroñ se
mahr-e-ālam-tāb guzarne vaalā hai
jādūgar kī qaid meñ the jab shahzāde
qisse kā vo baab guzarne vaalā hai
sannāTe kī dahshat baḌhtī jaatī hai
bastī se sailāb guzarne vaalā hai
dariyāoñ meñ ret uḌegī sahrā kī
sahrā se girdāb guzarne vaalā hai
maulā jaane kab dekheñge āñkhoñ se
jo mausam shādāb guzarne vaalā hai
hastī 'amjad' dīvāne kā ḳhvāb sahī
ab to ye bhī ḳhvāb guzarne vaalā hai
aankhon se ek KHwab guzarne wala hai
khiDki se mahtab guzarne wala hai
sadiyon ke in KHwab-gazida shahron se
mahr-e-alam-tab guzarne wala hai
jadugar ki qaid mein the jab shahzade
qisse ka wo bab guzarne wala hai
sannaTe ki dahshat baDhti jati hai
basti se sailab guzarne wala hai
dariyaon mein ret uDegi sahra ki
sahra se girdab guzarne wala hai
maula jaane kab dekhenge aankhon se
jo mausam shadab guzarne wala hai
hasti 'amjad' diwane ka KHwab sahi
ab to ye bhi KHwab guzarne wala hai
- Book : Fishaar (Pg. 133)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Jahangir Book Depot (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.